Mar 7, 2010

A True Scientific Lover ......!!

Naa ye CHEMISTRY hoti, na me STUDENT hota Na wo LAB hoti, na wo LOVE ACCIDENT hota

Tabhi PRACTICAL ke waqt nazar aayi ek larki khubsurat si, naak uski TEST TUBE jaisi

Uski baaton me GLUCOSE ki mithas thi, ETHYL ALCOHOL si thandi uski saans thi

Andhere me woh RADIUM ki tarah chamakti thi, jab aankh mili to REACTION hua, love ka PRODUCTION hua!

Phir to lagnay lagay uske ghar ke chakkar aise, NUCLEUS ke charon taraf ELECTRON jaise

Jis din TEST ka PERFECTION tha us din uske abbaaji se hamara INTRODUCTION tha

Mano IGNITION TUBE se SODIUM ke piece nikal parre wo bole hosh me aao, pehchano apni aukat IRON kabhi mil nahi sakta GOLD ke saath!

Is tarah torr diya unhone hamare armano ka BEAKER hum chup hi reh gaye BENJALDEHYDE ka ghoont pikar.

Ab unki yadon ke bina hamara kaam chalta nahi hain zindagi ho gayi ab UNSATURATED CARBON ki tarah, bekar ghumte ab hum awaara HYDROGEN ki tarah.